Mumbai: Bollywood superstar Shah Rukh Khan rang in his 56th birthday on Wednesday (November 2). As soon as the clock ticked 12, King Khan’s fans and friends from the industry flooded social media with sweet wishes for Bollywood’s Badshah.
To mark Shah Rukh Khan’s 57th birthday, let’s revisit some of Shah Rukh Khan’s most iconic dialogues.
“Kabhi kabhi jeetne ke liye kuch harna padta hai. Aur haar kar jeetne waale ko Baazigar kehte hai.” —Baazigar (1993).
“Bade bade deshon mein aisi choti choti baatein hoti rehti hain… Senorita!!” —Dilwale Dulhania Le Jayenge (1995).
“Itni shiddat se maine tumhe paane ki koshish ki hai, ki har zarre ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai. Kehte hain agar kisi cheez ko dil se chaaho to puri kayanat usey tumse milane ki koshish main lag jaati hai.” —- Om Shanti Om (2007).
“Hum ek baar jeete hai, ek baar marte hai, shaadi bhi ek baar hoti hai aur pyaar bhi ek baar hota hai.” —-Kuch Kuch Hota Hai (1998).
“Pyaar dosti hai. Agar woh meri sabse achi dost nahi ban sakti toh main usse kabhi pyaar kar hi nahi sakta. Kyunki dosti bina toh pyaar hota hi nahi.” —-Kuch Kuch Hota Hai (1998).
“Zindagi mein kuch banna ho, kuch haasil karna ho, kuch jeetna ho toh hamesha apne dil ki suno. Aur agar dil se bhi koi jawaab na aye, to apni aankhen band karke apni maa aur baba ka naam lo. Phir dekhna, har manzil paar kar jaoge, har mushkil asan ho jaegi. Jeet tumhari hogi. Sirf tumhari.” —- Kabhi Khushi Kabhie Gham (2001)
“Main aaj bhi usse utni hi mohabbat karta hoon aur isliye nahi ki koi aur nahi mili par isliye ki usse mohabbat karne se fursat hi nahi milti.” —- Mohabbatein (2000).
“Babuji ne kaha gaon chhod do, sab ne kaha Paro ko chhod do, Paro ne kaha sharab chhod do, aaj tumne keh diya haweli chhod do, ek din aayega jab woh kahenge, duniya hi chhod do.” —- Devdas (2002)
“Agar yeh tujhe pyaar karti hai to ye palat ke dekhegi. Palat – palat!” —Dilwale Dulhania Le Jayenge (1995).
“Sachi mohabbat zindagi main sirf ek baar hoti hai aur jab hoti hai, toh koi bhagwan ya khuda usse nakamayab nahi hone deta.” —- Veer-Zara (2004)